Jab kabhi aayi yad hamein unki,
Unhone bhi na kahte hue munh mod liya.
Aakhir kabhi na aayegi yaad unhe hamari.
Sochkar Ravi ne bhi umeed ka daman chod diya.
Tarsate rahe unki ek jhalak pane ko,
Aur apna har rasta dukhon ki aur mod liya.
Jab ehsas hua hamari sachchhi mohbbat ka unhe,
Tab tak hum us mukam pe the,
Jahan se laut kar aana hamare liye mushkil,
Aur hame pana unke liye namunkin tha.
Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai.
Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.
`
Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,
guzarish yehi hai khuda se ke kash woh
lamha fir aye 1 lamhe ke liye .
mai jalta hu to tu kyu pigalti hai?
Mombati boli, jisko dil me jagah di ho wo
bichade to ansoon to niklte hai.
shayari me yaaron dil ke raaz khol deta huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deta hun..!!!
Tere bichadne ka dukh hum sah nahi sakte,
bhari mahfil me kuch kah nahi sakte,
hamare girte ansu pakad ke dekh,
wo bhi kahenge hum tere bina reh nahi sakte…
Patha nahi ki zindagi ka saffar ma kya likha hai
Kisa milna aur kisa bichardna likha hai.
Imhtahan lethi hai zindagi har rishta ka
Kisika jurdna to kisika tutna likha hai.
Afsos kabi na karna ouhn tutha rishto ka.
Kunki tumhari kismat ma un rishto sa behtar kuch likha hai.
Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.
Samjha na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bin soche he de diya….
Sah gaye jo hum agar dard ko chupke se,
To phir humko patthar dil keh diya…
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye…,
Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye…
Kaise yaad na aaye aapki ek
pal ke liye,Jab dil me ho aap harpal ke liye….
Waqt ke dayare se hum nikal na jaaye,
Aap ke dil se kahi hum utar na jaaye.
Hum roz aapko yaad dilaya karenge,
Warna kahin aap hume bhool na jaaye
Chahat K Parde Me Nafrat Hai,
To Nafrat K Parde Me Chahat Bi Hogi,
Agar Koi Khafa Hota Hai Tume Apna Samajh,
To Usko Tumse Mohabat Bi hogi
Parchhai Unki Hamare DiL Me H
Yaade Unki Hamari Aankho Me Hai
Kese Bhulaye Hum Unko aeDOST
Pyar Unka Hamari Sanso Me H.
Tere Dil Me Dosti Ki Buniyad Rkhege
Khud Ko Kaid Tujko Azad Rkhege
Khi Ho N Jye Gustaki Dosti Me
Isliye Hm Apne Kdm Tere Kdmo K Bad Rkhege
Sehmi si nigaho me khawab hum jaga
denge, suni si raho me phool hum
bicha denge, hamare sang muskura
kar toh dekhiye, hum aapka har gham
bhula denge…
Pee hai sharab har gali har mehkhane se,ek
dosti si ho gai hai sharab ke jam se,gujre hai
hum kuch aise mukam se ki nafarat si ho gai
mohabbat ke naam se.
jeevan mein shayad kabhi na mil paao, bas
bichad jaaoge tum shayad humare na ban
paao, par muskuraoge tum raat andheri hogi,
phir-bhi jhilmilaoge tum humein aur koi nahi,
bas yaad aaoge tum
Waqt guzarta raha par saanse thami thi,
Muskara rahe the Hum..
Par aankhon mein nami thi,
Saath hamare yeh jahan tha Par jane
kyon aapki kami thi….
khwabo ki najaro se aapko manga hai
jazbaton ki najaro se aapki ibadat ki hai
dil ki sachhayi se aapko puja hai
haqiqat ki nazaro se aapko pyar kiya hai
kab se meri aankho ko neend aati hi nahi
baahein mangti hai mujhh se raatein teri
tu roothke chali jati hai to jaan nikal jati hai
tere aane se laut aati hai ye saanse meri
tujhe paane ki is liye zid nahi karte
ke tujhe khone ko dil nahi karta
tu milti hai to is liye nazre nahi uthate
ke phir nazrein hatane ko dil nahi karta
Aap rehte ho dur kuch pal ke liye
Dur rehkar bhi kareeb ho har pal ke liye
Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye
Jab ke dil me ho aap har pal ke liye
Woh dil de hum jaan de aur ho jaye apna pyar
Woh muskan de hum hasi de aur saj jaye apna sansar
Woh sapne sajaye hum haquikat banaye aur pyar ki ude leher
Aur ye pyar badta rahe har shaam har seher
Raat ke andhere ke baad nayi subha aayi hai
chamakthi kirno ke sath nayi khushiya layi hai
sambhaal ke rakna in yaado ko
kyuki yaado me chhupi yaar ki parchhai hai
Zindagi ki kitab ke kuch panne hote hai
kuch aapne hote hai kuch begane hote hai
pyar se sanvar jati hai zindgi
bas pyar se rishte nibhane hote hai
kisiki yaadon ne pagal bana rakha hai
kahin mar na jayein kafan silwa rakha hai
Dafnane se pahle DIL nikal lena
kahin wo dafan na ho jaye jise dil me basa rakha hai
Tanha hu tanha rehne de
Is kadar phir mujhe pyaar na kar
In Zakhmo ko hara rehne de
marham laga ke inhe barbaad na kar
Teri Aankho ke zantar mantar se bahar nikalna hai mujhe
Yu nazare mila ke mujhe gumraah na kar
Teri meri yaado ka gulistaa ab murjha gaya hai
mujhe hichkiya dila ke ise gulzaar na kar
Barbaad hua hai mere dil ka shehar teri hi chahat me
Yu muskura ke isse aabaad na kar
Akela hi kata tha meri zindagi ka safar
Mere saath reh ke meri aadat kharaab na kar
Uske darbaar me haq ka sabko mila hai
Usse koi aisi waisi fariyaad na kar
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya
Hum To Samjhe The Ke Hum Bhool Gaye Hain Un Ko
Kya Hua Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai
Baar Baar Aise Sawalaat Pe Rona Aaya
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ay Dost
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya
Na jane kyu Dil me khayal ata hai
Na jane kyu Dil jala ke chala jata hai
Na jane hamse kya khata hui ki jo hamare Dil me ata hai
wohi Dil Tod ke chala jata hai
Chale aao Hum AAPKO Yaad karte Hai,
ye wo gunah hai JO hum bar-bar karte He,
jala k DIL ME hasrato k Chirag App ka,
Intezar krte hai.
Kuch Rishte Anjane Me Ban Jate He
Pehle Dil Se Fir Zindgi Se Jud Jate He
Kehte Hai Us Daur Ko Dosti
Jisme Anjane Na Jane Kab Apne Ban Jate hai.